Featured post

Loan Kya Hai ?

Loan Kya Hai ?

 Loan Kya Hai? 

Dosto App Sabka Swagat Humare Is website TheSattuNet Main Or Aaj Hum apko Loan Ke Bare me Batane Wale Hai jaise ki loan kya hai , online loan kaise milta hai , offline loan kaise milta hai , loan lene ke fayde or nuksan ye sab topic ke bare me aaj hum apko batane wale hai to post ko padhiye .




Dosto aap sabko pata hi Hoga loan humko lena hai to apko baht sari jagah se loan mil jata hai jaise ki bank se kisi finanace compny se online application ya website se ese kahi tariko se apko loan mil sakta hai.

Loan Kya hai ? Or hum loan kyu lete hai?

Loan ka Matlb hum kisi bank ya finance company se kisht pe paisa lete hai use loan kehte hai loan ke kahi sare prakar hai jiske bare me hum apko age batayenge .

Agar aap kisi bhi bank ya finanace compny se loan lete hai to apko paisa to mil jata hai fir apko us loan ki rakam ko jitne time ke liye apne lia ho utane time ke andar interest ke sath vapas karna rehta hai .

Dosto kabhi agar apko paiso ki argent zaroorat pad gayi ho or apko paisa chahaiye to aap kise se udhar lete hai lekin abhi udhar naa milne pr app alag alg banks or finance company ne loan ke lie apply karte hai.

Loan ke prakar.
Loan ke bahot sare prakar hai matalb apko loan kiske liye chahaiye kya karna hai loan wale paiso se is liye apko pehle batana pdta hai aap jaha se loan le rhe ho ke apko kis prakar ka loan chahaiye .

Loan ke baht sare prakar hai jaise ki:-

1)Personal Loan :- dosto personal loan ka Matlb apko apne khud ke use ke liye paisa chahaiye jaise ke apke kharche ke liye kuch bhi apko shopping vagera ke lie chahaiye to usko personal loan kehte hai .

Personal loan me apko pehle aap jis bhi bank ya finanace compny se loan le rahe ho unko puchna rehta hai ke aap personal loan provide karte ho .

Agar vo bank ya finance company personal loan provide karti hai to apko asani se kuch Documnts dene par apko personal loan mil jayega.

Personal loan lene ke liye apke pass apke documnts hona jaroori hai Bina documnts ke apko personal loan nahi mil sakta .

Personal loan lene ke liye apke pass adharcard,pancard,bank statement etc documnts hona jaroori hai jisme apko pata hi hota koi bhi jagah se loan lene se pehle apko pancard hona to bahot hi jroori hai Bina pancard ke apko loan nahi mil payega.

Dosto agar appke pass sare documnts hai to apko asani personal loan mil jayega kisi bhi bank ya finanace company se.

2)Medical Emergency Loan :- dosto aap sabko pta hi Hoga medical emergency loan bhi milta hai baht sari esi banks or finanace companies hai jo apko medical emergency ke liye bhi loan dete hai.

Medical emergency loan ka Matlb apke ghar me koi bhi jyada bimar hai or apko uska ilaaj karvana hai par apke paiso ki kami hai to aap kisi bhi bank ya finance company jo home loan provide krti ho to vaha se apko loan lena hai .

Medical emergency loan ke liye apko jyadatar finance company se hi loan ke liye apply karna hai kyuki banks Mai jydatar loan Milne me time lagta hai to finanace compny se medical emergency loan le sakte ho.

Finance company ya bank apke pass se Kuch documnts lega or fir apko uske hisab se apko jitna loan ka rakam chahiye itna apko mil jayega fir apko jo apne medical emergency ke lie loan lia ho usko apko us samay tak pay ke dena he jitna apko bank ya finance company se time mila ho.

3)Home Loan :- dosto home loan ka matalb hota hai ki apko ghar lena hai or apke pass paiso ki kami hai to aap kya karenge ? Aap loan ke bare me sochenge ke loan le lete hai lekin aap sochoge Hume loan dega kaun? Dosto fir aap kisi bhi bank ya finanace compny se loan lene ke liye jaoge fir apko vaha pe batna padega ki loan kyu chahaiye kis lie chahaiye to aap batoge ghar lene ke lie apko loan chahaiye to vo apko home loan ke bare me batayenge ke home loan mil sakta hai apko fir aap vaha pe home loan ke liye apply kar sakte ho.

Home loan ke liye dosti apko bank se hi loan mil jayega. Apko finance company se bhi loan mil sakta hai lekin pehle apko check kar lena hai us finance company ke bare me kyu ki jyada tar jo badi badi finance company’s hai vo hi home loan provide karti hai chhoti company’s home loan ke liye itna bada rakam provide nahi kar sakte .

Home loan me apko Kuch jaroori kagjaat ke uper apko loan mil jayega jise aap month vise as emi apko pay karna rahega kyuki home loan me rakam bahat badi hoti hai is lie aap ek sath me pay na kr pao itni badi rakam to aap Emi ke threw bhi pay kar sakte ho jaise ki apne jitna rakam lia ho kisi bhi bank ya finanace compny se usko apko har mahine thoda thoda krke pay karna rahega .

Dosto ese kahi sare loans ke prakar hai ye to humne apko Kuch hi prakar bataye jo jydatR logo ko jaroorat padti hai .

Loan online or offline dono tariko se milta hai jisme pehle baat karte hai online line loan ke bare me. 

Online loan kya hai ?

Dosto online loan ka Matlb hai ki apko loan chahaiye lekin aap kisi karano sar bank ya kisi bhi finance company Walo ke pass nahi jaa sakte to app online loan lene ke bare me sochte ho .

Online loan aap kahi se bhi le sakte ho ghar bethe apko loan mil jayega apke bank account mai apko kahi pe documnts jama karvane jane ki jaroorat nahi hai apko 100% ghar bethe loan milta hai.

Online loan aap apne mobile , computer ya laptop se le sakte ho ese baht sari website or application hai jo apko online loan provide krte hai. Apko bas unhe apko apke documnts dena rahega apko asani se ghar bethe loan mil jayega .

Offline loan kya hai?

Dosto offline ka Matlb hota hai ki apko loan chahaiye to apko bank me jake loan ke liye aaply karna rehta hai jisme apko Kuch Dino me loan mil jata hai .

Offline loan apko bank se milta hai apko bank me jake loan ke liye baat karni hai vo apke documnts or statements magege or fir apke CIBIL report ke hisab se apko loan provide karge.

Offline loan apko bank ko us time pe pay kar lena he jitna time bank ne apko diye ho . 

Dosto loan lene ke fayade or nuksan hum apko age ke post me batayenge ke loan lene ke kya kya fayade hai or nuksan hai.

To dosto agar apko humari post pasand aayi ho to ise ghare kar dena. Hum apke liye ese hi helpful posts late rahege .


Thank You…
Loan Kya Hai ?
4/ 5
Oleh