Loan Lene Ke kya fayde Or Nuksan Hai?
Loan Lene Ke kya fayde Or Nuksan Hai?
Hello dosto aap sabka Swagat Hai humare is Website TheSattuNet Me Or aaj Hum apko Batane wale hai ki loan lene ke kya kya fayade hai ? Or kya kya nuksan to aap is jankari ko janana chaahte ho to post ko pura padhe.
Dosto aaj ka humara topic Hai loan lene ke fayade or nuksaan. Loan lene ke bahot sare fayde he or sath sath me nuksan bhi hai to aap koi bhi bank ya kisi bhi finace companiy se loan lene se pehle is post ko pura zaroor padhe nahi to age apko problem vi ho sakta hai.
Dosto jaise ki apko pata hi Hoga loan kya hai loan kyu lena chahaiye hamne age ek post dala hai usme humane bataya tha ki loan kya hai agar apne vo post nahi padha hai to aap usko post ko padh le post ki link apko niche mil jayegi.
Post Link :- Loan Kya Hai ?
To dost loan lene ke kaafi sare fayde or nuksan hai vo hum apko batayenge lekin use se pehle aap yr baat jaroor jaan lo ki agar apko sachchi me loan ki zaroorat hai baht jyada argent he to Hi aap loan le kyuki fir aap agar time se loan repayment nahi karoge to aap fas bhi sakte ho .
To chalo dosto ab me apko pehle batata hu ke loan lene ke kya kya fayade hai.
Loan Lene Ke Kya Fayde hai?
Dosto loan lene baht sare fayade jisme se hun apko Kuch fayade batate he jo khaas hai.
1)first loan Lene ka ye fayada hai ki humko paiso ki argent jaroorat aa padi ho or kahi se paisa naa mil raha ho to aap bank ya kisi finanace company ke threw loan ke liye apply kr sakte ho. Or apko loan mil bhi jayega agar apke documnts vagera sab sahi he to apko loan mil bhi jayega.
2)second fayda ye hai loan lene ka ki apko kisi se paisa magana nahi padega aapko bank ya finance company loan de rahi hai kisi insan ke pass magana nahi padega.
3)third fayda ye he ki aap agar loan lete ho or use time se repayment karte ho aapka CIBIL score bhi improove hoga or fir apko next time loan ke lie apply karoge to apko limit bhi jyada milega agar aaap time se reypaymnt karoge.
4)fourth fayda ye dosto ki aapko loan milne ke baad aap use Emi me convert krke bhi pay kar sakte ho to apko pura amount ek sath me nahi dena padega thoda thoda karke aap month ke hisab se amount pay karoge to apni savings bhi hogi.
5)fifth fayda ye hai dosto ki apne jo loan lia he uska time se repayment karne ke baad aapka cibil score agar achaa hoga to bank wale apko credit card bhi provide karte hai.
6)sixth fayda ye hai ki apko bank se credit card milega to aap credit card threw online shoping , offline shoping bhi kar sakte hai. Aap jaise jaise credit card ko use karoge or fir time se repayment karoge utna hi Apka credit card limit yaani ke credit card me jo amount ka limit hota hai vo increase hota jayega. Or aapka CIBIL Score bhi increase Hoga.
7)sevanth fayda ye hai ki apko loan mil jane ke baad aap bank me vapas loan amount ko repayment karoge to bank ke sath aap relation bhi Achha rahega .
To dosto ye sab the loan lene ke fayde iske alava bhi bahot sare loan lene ke fayade he sare hum is post me nahi daal payenge is liye kuch jo fayade the unke bare me humne apko bataya hai .
Dosto to ye the loan lene ke fayade or ab hum apko batate hai loan lene ke nuksan ha dosto loan lene ke nuksan bhi hai bahot sare vese agar trusted bank yaa finance company se loan lete he to apko jyada nuksan nahi hoga to aap kahi se bhi loan le chahe bank se le ya koi finance company se to sabse pehle us bank ya finance company ke bare me puri information nikal le uske baad hi loan ke liye apply kare. Trusted bank yaa finanace company hogi to apko jyada nuksan nahi karegi kyuki app time se repayment karoge is liye agar time se aap repayment na kar paao to aap loan mar lena kyuki ese aapko nuksan bhi hota hai.
To chalo dosto ab hum batate loan lene ke nuksan kya kya hai or kaise bache ye nuksan hone se.
Loan Lene Ke Nuksan Kya hai?
Dosto Loan ke nuksan bhi hai bahot sare jiske bare hum apko batayenge to loan lene se pehle loan lene ke nuksan ke bare me bhi zaroor jaan le .
1)first nuksan ye hai loan lene ka ki agar aap bank se loan le rahe ho to aapko bank ke dhakke khane hoge or fir sab chekup ho jane ke baad apko loan milega.
2)second nuksan ye hai ki agar aap kisi finance company se loan le rahe ho to apko sabse pehle us finance company ke bare me sab information nikal lena hai kyuki abhi market ne baht ese fake finance company hai jo humare documnts le lete hai or Hume loan nahi dete or fir vo sab documnts jo humne unhe diye hote he unki madad se Hume black mail krte hai. To dosto finace company se loan se pehle savdhan rahe ho. Or us finance company ke bare me sab details jan ne ke baad hi loan ke liye apply karen.
3)third nuksan ye hai ki aap bank se ya finance company se loan lete ho or apko loan mil bhi jata hai fir app vo jo loan amount apko mila hai usko time se repayment nahi kar paate ho to fir apko vo baar baar call karke tougher bhi kar sakte hai .
4)fourth nuksan ye hai ki aapko bank ya finance ke threw loan mil jane ke baad agar aap use time se repayment nahi kar sakte to vo apke CIBIL score ko bhi kharab karte hai. Or apka CIBIL score bhi dowen karte hai fir apko CIBIL me inquiry bhi daal sakte hai .
To dosto ye the loan lene ke kuch fayade or nuksan to aap pehle ye jaan lijiye ke aap agar time se loan repayment nahi kar sakte to krupiya karke loan na le kyuki isme aapka hi nuksan hai .
To dosto kaisa laga humara post ? agar achaa laga ho to share jaroor kar dena hun ese Hi apke liye helpful or interesting posts laate rahege .
Thank You…