Photo Ki Qulity Kaise Badhaye?
Photo Ki Qulity Kaise Badhaye?
Dosto aap sabka Swagat hai humare is Website TheSattuNet Me or ajj hum apko batane wale hai ki kisi bhi photo ya image ki qulity kaise badhaye ? To dosto app is post ko pura padhe jis se apko pata chalega ki koi bhi editor kisi bhi blur image ya low qulity wale image ko kaise thik karta hai.
Dosto aap sabke sath bhi ye probm hota hoga ki photo click karte vakt Apka hand hill jane ki wajah kabhi kabhi photo blur ata hai to to aap use kaise thik kare or kisi bhi photo ya image ki qulity ko kaise high kare? Ye sab bat aaj hum apko is post me batane wale hai to aap is post ko pura end tak padhe jis se apko photo editing me blur ya low qulity image ko kaise sudhare iske bare main aap jaan paao.
Blur Image Ko Kaise Sudhare ?
Dosto blur image ko sudhar ne ke liye bahot sare tools hai jaise ki Photoshop etc. par apke pass computer ya laptop nahi hai or mobile se hi aap blur image ko sudharna chaahte ho to aapko ek application ki madad leni padegi vo application ka naam hum apko age batayege isi post me.
Dosto ye jo application ke bare hun apko batane wale yah application android users or iOS users dono ke liye available hai.
Yah application paid application hai lekin isme apko blur photo thik karne wala option bilkul free hai to aap asani se bilkul free me blur image ko thik kar sakte hai.
Dosto hum jis application ke bare me baat kar rahe hai us application ka naam hai Remini is application ko asani se play store ya App Store se dowenlod kar sakte hai.
Remini app Kya hai ?
Dosto remini app ek editing application hai jo professional editors apne photos ya images inhance karne ke liye use karte hai.
Remini app ke andar aapko bahot sare features dekhne ko milte jaise ki aap isme blur photo ko Inhance krke thik kar sakte ho , blur video ko inhance kar sakte ho lekin ha dosto is application ke andar apko sirf photo hi free me inhance kar sakte hai kyuki blur video ko inhance karne ke liye apko Remini application ka premium subscription lena padega .
Remini app ko Use Kaise kare?
Dosto remini application ko use karna bahot hi Aasan hai .aap asaani se remini app anadar apne blur ya low qulity wale photo daal ke inhance kreke usko sudhar ke high qulity me convert kar sakte hai bilkul free main.
Remini app me photo ko inhance kaise karna ye hum apko step to step batate hai taaki aap achhe jaan pao.
1)Remini app me apko blur ya low qulity wale photo ko sudharane ke liye sabse pehle apko remini application ko dowenload karna padega jo apko asani se play store ya App Store me mil jayega aap aasani search karke dowenload kar sakte hai. Remini app ka size 200mb hai or yah application trusted hai to apke data leak hone ka bhi koi dar nahi rahega to aap bilkul nishchit rahe or remini app ko dowenload kar dijiye.
2)remini app ko dowenload karne ke baad apko sabse pehle application me login ya sign up karna padega yaani ki apko pehle account create karna padega aap email ke threw yaa fir Facebook ke threw direct bhi account bana sakte hai vo easy rahega. Or aap apne mobile number se bhi sab details fill karke account bana sakte hai lekin apko Facebook yaa email se hi account create karna hai.
3)account create krne ke baad apko remini application ke anadar apko vo photo ko add karna he jo blur ya jiski qulity low ho or aap use sudharna chahte ho. Fir apko usko photo ya image ko remini app me add karna hai.
4)remini app me photo ko Selct karne ke baad apko Kuch esa interface dekhne ko milega
Dosto aapko jo uper screen shot me dikhaya gaya he us tarah ka page apko apke mobile pe dekhne ko milega .
Agar apne remini app ka premium subscription liya hai to aapko enhance + par click karna hai or agar apne remium premium subscription nahi liya hai to apko sirf black Color ke inhance wale first button pe click karna hai.
Enhance butoon pe click krne ke baad apko ek 30sec ka aad ayega usko chalne dena hai or 30 second khatam hone ke baad us add ke andar uper kone me cancel ka option Hoga waha pe click karna hai. Or add ko close kar dena hai.
Add ko close krne ke baad app direct photo ko inhance karne wale page par pohch jaoge.
5)remini app me aad ko close karne ke baad inhance wale page me apko vo photo dikhegi jisko apne pehle add kiya hoga or uske sath me hi apko waha pe us photo ke site me ek line dekhne ko milegi us line ko apko left ki taraf swipe karna hai jaise jaise aap us line ko swipe karoge vese hi apka blur photo thik hone lagega jitna aap line ko swipe karoge itna hi photo ka clearity Achha hone lagega . To apko us line ko pura swipe kr lena hai . Or fir apko vo blur image ki clearity acchi dikhane lagegi or apka blur image thik lagega.
Agar apke image ya photo ki qulity sahi nahi hai or aap use sudharna chaahte ho to bhi apko us photo y image ko ese hi swipe karke inhance karna hai jis se apka jo low qulity ka photo hai sudhar jayega.
6)photo ko inhance karne ke baad apko niche saved to gallary ka option dikhega vaha pe click krke apko us photo ya image ko high qulity me save kar lena hai .Or fir apne mobile phone ki gallary ko open karke us photo ko khol ke usme zoom karke chek karna he apka photo sahi ho gya Hoga.
To dosto Aasha karte hai ki apko humari post pasand aayi ho or apke liye helpful rahi ho to aap use share jaroor kar dijiye share karna na bhule .
Note :-yah post sirf apko image ki qulity kaise sudharne ye batane ke liye kiya gaya hai is post me is application ka koi promotion nahi hai.
Thank You….