Best Mobile Editing apps.
application Editing Facebook Tips Instagram Tips internet iPhone application iPhone Tips tech technology tipsandtricks YouTube TipsBest Mobile Editing Applications.
Dosto aap sabka Swagat Hai Humare Is Website TheSattuNet Me Or aaj hum apko Kuch best mobile editing applications ke bare me batane wale hai jo editors or photographers ke liye bahot kaam ke application hai to aap is post ko pura end tak padhe .
App sabhi logo ko sayad pata hi Hoga ke professional editors and photographers jyada tar photoshop ka use karte hai. Lekin dosto photoshop computer ya laptop me aap use or sakte ho apne mobile me use nahi kr paoge to mobile me photoshop jaisa photo edite karne ke liye appko kya karne hai kaise karna hai iske bare me aaj hum apko batayege. Or sath hi me kuch application ke bare me bhi batayege jo apko koi bhi photo ya image ko edite karne me help karge .
Dosto sabse pehle apko bata du ki jin jin editing applications ke bare me aaj hum app ko batayege unme se Kuch applications free hai or Kuch applications paid hai app free applications se bhi asani se editing kar sakte hai. apko koi bhi applications ka pro version lene ki jaroorat nahi hai.
Best Mobile editing apps 2022
Dosto mobile se professional jaise photo edite karne bahot sare application use hote hai lekin usme jo best application hai vo ajj hum apke liye leke aye hain.
1) Snapseed
Dosto Snapseed application ek free application hai jo apko asani se play store ya App Store pe mil jayega Snapseed application ka home interface apko Kuch esa dekhne ko milega.
Ye application me photo add karne baad tool option pe click karna he apko jese uper photo me dikh raha he tools option uske uper click karne ke baad apko bahot sare options ayenge jisme alag alg options me apko color correction ,healing,skin smoothing ,blur , white bhi kar skte hai aap is application me photo.
Dosto ye Snapseed application bilkul free hai aap ise play store ya App Store se asani se dowenload kar skte hai.
2) Lightroom
Dosto Lightroom application free bhi hai or paid bhi he matalb ki iska premium version bhi hai or free version bhi hai. Lightroom application me apko Kuch services free me milegi or Kuch services paid he jo premium subscription lene ke baad milega.
Lightroom application me apko Kuch esa interface dekhne ko milega Home Screen ka jo niche dikhaya gaya hai.
Lightroom application me gallary se photo add karne ke baad apko Kuch esa interface dekhne ko milega yaha pe jaise humne pehle bola Kuch services free hai or Kuch paid hai.
Dosto Lightroom application me aap photo me lighting ,Color corection , smoothing or bhi bahot sare services ke madad se aap apne photo ko free me edite kar skte hai isme premium version ki jaroorat apko padegi nahi jyadatar aap free version bhi kaam chala sakte hai .
Dosto jo professional editors or photographers hai vo is app application ka use karte hai. Ye application asani se apko play store ya App Store me mil jayega aap ise free me dowenload kar skte hai play store ya App Store se or ye Lightroom application desktop ke liye bhi hai Matlb aap ise apne computer ya laptop me bhi install kar skte hai app asani se Lightroom application ka software dowenload karke install kar skte hai apne computer me.
Hum Lightroom me photo editing kaise karna he iske bare me alg se post dalenge jisme apko hum Lightroom application me photo kaise edite karte iske bare me puri information de dege vese to bahot easy hai Lightroom me photo edite karna.
3) Picsart
Dosto Picsart application apko free version or premium version dono apko Picsart application me dekhne ko milega.
Picsart application apko niche diye gaye photo ki tarah apko interface dekhne ko milega Home Screen ka
Jaise dosto apne uper photo me dikh raha he esa interface dekhne ko milega apko picsart me gallary se photo add karne ke baad.
Picsart me aap asani se photo editing kar sakte hai or isme bhi premium version lene ki kuch jyada jaroorat nahi he aap free version bhi kaam chala sakte hai free version me apko Kuch ads vagera dekhne ko milega or premium version application ads free rahega Matlb premium version me apko koi bhi ads dekhne ko nahi milega.
Dosto picsart application apko asani se play store yaa App Store se dowenload kar sakte hai bilkul free me or is application ko bhi jo basic editors ya photographers hote he vo suruaati dur me use karte hai to aap is application ka bhi use kar sakte hai Picsart application ko use karna bahot hi aasan hai asani se app photo edite ke sakte hai.
4) Remini
Dosto remini application ek enhancer application he or ye application free version or premium version dono available he isme aap free version ko bhi use kar sakte hai usme kuch ads vagera dekh ke app photo ko enhance ke sakte hai or agar aap premium version lete hai to usme apko ads free mil jayega Matlb premium version me apko ads dekhne ko nahi milegi.
Remini application me photo kaise edite ya enhance karna h iske uper hamne ek pura post likha hai aapko niche link diya hai click here wale button pe click kijiye or direct us page se redirect ho jayega.
Remini application apko dosto play store ya App Store me asani se mil jayega aap ise free me dowenload kar sakte hai .
Dosto apko agar humara post achha laga ho to ise share jaroor kar dena or aap agar Kuch bhi information chahaiye to aap Hume comment karke bata sakte hai hum apne post ke threw apni problem solv karne ki koisis karenge.
Thank You…