Featured post

Showing posts with label Jobs. Show all posts
Showing posts with label Jobs. Show all posts
How To Find Job ?

How To Find Job ?

Job kaise Dhundhe ? (How to find Job?)

Dosto aap sabka swagat hai humare is Website TheSattuNet Me or aaj Hum apko Batane wale hai ki aap apne lie job kaha se dhundhoge kaha se apko job milega to dosto ye sab janane ke lie post ko pura padhe.


Dosto to jaise apko pata hi Hoga abhi is online ke zamane me job milna mushkil ho gya hai . Agar aap padhe likhe hai to to thik hai apke pass deggree hai to to thik hai apko kahi pe bhi asani se job mil jayega. Lekin jo bina padhe huve nahi he jinke pass deegree or certificates nahi he unko bhi ab chinta krne ki zaroorat nahi hai aaj hum apko ek ese plate form ke bare me batane wale jisme sabke liye jobs available rehte hai.

Apne agar kahi pe job nahi kiya ho apke pass experience na ho to bhi is plate form pe baht sare jobs freshers ke liye bhi he to aap Bina experience ke bhi job ke lie apply ke sakte hai yaha pe se apko job milne pr Achha salary bhi mil jayega or kaam bhi aap dhundh sakte ho apne liye.

To dosto jis plateform ki me baat kar rha hu job find karne ke lie us plate form ka Naam Indeed Hai . Yah ek compny hai jo apko job dhundhane me help karti hai iske uper 100% genuine jobs milte hai .  To aap is post ko pura padhe taaki aap jaan pao ke is company me se job kaise dhundhe or apply kaise kare .

Indeed Job Kya Hai ?

Indeed ek company hai jo apko job dhundh ke deta hai. Yah company me apko job dhundh ke dene ka bilkul bhi charge nahi karta yah bilkul free hai. Yaha se aap bilkul free me job dhundh sakte ho jo job apko pasnd ho salary Achha ho to aap bilkul free me apply kar sakte hai job ke liye .



Dosto ye is company ka logo hai yah company ki website or application Dono hai aap dono jagah se job dhundh ke apply kar sakte hai . 

Indeed Job ki website par jane ke liye niche diye gaye link par click kare or direct indeed ke website me chale jaoge.

Dosto yah indeed company ka application bhi hai jisko aap dowenload karke aap direct is application me bhi job dhundh ke apply kar sakte ho. Yah indeed company ka application android or iPhone dono users ke lie available hai.

Agar aap inki application dowenload karna chaahte he to kar sakte he vo apko asaani se App Store ya play store me mil jayega .

Ye indeed company ek videshi company hai jo apko koi bi location ke job dhundhne ke lie apko help karti bilkul free mai iska kuch bhi charge nahi hai 100% free or real hai.

Indeed company apko app jaha pe rehte ho us jagah ke aspas me job dhundh ke dega India me kahi pe bhi mil jayega job lekin aapke pass me job chahaiye to aap apne asps address daal ke bhi chek kar sakte hai agar koi job available hogi to app uske lie apply kr sakte hai .

Agar aap padhe likhe ho apke pass deegree or qualifications ke certificates hai to aapko government job bhi mil sakta hai . Is indeed company me sab tarah ke job vacancy ate government or private company’s ke liye job milte hai.

Agar appke pass qualification k certificates nahi he to bhi apko Yaha se job mil sakta hai yaha pe baht sare private limited company’s bhi hai jisme apko baht sare job mil sakte hai jaise ki storekeeper , shoping mall , security , managers, hotels, private company, hotel management, office staff , office management etc. ese baht sare jobs apko dekhne ke lie mil jayega jisme qualification ki jyada jaroorat nahi hai .

Indeed me job kaise dhundhe ? or Apply kaise kare?

Dosto indeed company me website or application dono tarike se job find kar sakte hai or apply kar sakte hai job ke liye.

Jisme se aaj hum apko indeed application ki madad se batate hai ki job kaise dhundhte hai or apply kaise karte hai?

Dosto apko jo uper ek image dikh raha he Vesa he same apke indeed application ya website ka interface Hoga .

Indeed me aapko sab tarah ke job mil jayega jaise ke government , private , online vagera sab tarah ke job apko indeed company ke application me mil jayega.

Indeed me Job Kaise khoje ?

1)Indeed ke application ya website ke uper top ke uper hi apko search bar dikh jayega jisme apko jaisi job chahaiye Matlb kis tarah ki job apko chahaiye koi company ya etc uske hisab se apko jaisi job chahaiye vaise search karna padega.

2)second apko search bar ke niche hi location option dikhega vaha pe apko us jagah ka naam dalna hai jaha pe aap job karna chaahte hai . Aap kisi bhi location pe job dhundh sakte hai .

3)third apko search bar or location wale box ke niche baht sare options milega jisme aapko kis typ ka kaisa job chahaiye vo app bata sakte ho jaise ki full time chahaiye ya par time or isme salary kitna hona chahaiye jo app job kar rahe he apke qualification vagera ye sab details apko is section me dalna rahega  or fir job ke lie search karna padega .

4)fir apke application ya website ke screen pe job find hona start ho jayegi or Kuch hi der me apko baht sari jobs apko vaha pe dekhne ke mil jayegi.

5)aapko jo bhi job vaha se pasand jisme salary vagera sab kaisa he aap khud hi dekh lena aap ko jo job pasnd aye sare jobs me se uske uper click kariye or fir hum apko batate hai ki job ke lie apply kaise karna hai.

Indeed Me Job Ke Liye apply Kaise kare?

Indeed me apko jo bhi job apne pasand kiya hai uske uper click karne ke baad apko Kuch esa page dekhne ko milega.


Apko Kuch esa interface dekhne ko milega jaisa uper dikh rah he job pe click karne ke baad.

Fir apko job ke bare me sari details Achhe tarike se padh lena he pura or fir aaply now pe click karna hai or fir aap resume daal ke ya fir contact number leke bhi job ke bare me baat chit kar sakte ho.

To dosto agar apko humare post pasand aayi ho to share jaroor kar dena .

Note:- yah post koi application ke promoting ke liye nahi he ye post sirf apko job dhundhne me help karne ke liye likha gaya hai koi promoting nahi hai.

Thank You…