Featured post

Showing posts with label application. Show all posts
Showing posts with label application. Show all posts
Best Mobile Editing apps.

Best Mobile Editing apps.

 Best Mobile Editing Applications.

Dosto aap sabka Swagat Hai Humare Is Website TheSattuNet Me Or aaj hum apko Kuch best mobile editing applications ke bare me batane wale hai jo editors or photographers ke liye bahot kaam ke application hai to aap is post ko pura end tak padhe .


App sabhi logo ko sayad pata hi Hoga ke professional editors and photographers jyada tar photoshop ka use karte hai. Lekin dosto photoshop computer ya laptop me aap use or sakte ho apne mobile me use nahi kr paoge to mobile me photoshop jaisa photo edite karne ke liye appko kya karne hai kaise karna hai iske bare me aaj hum apko batayege. Or sath hi me kuch application ke bare me bhi batayege jo apko koi bhi photo ya image ko edite karne me help karge .

Dosto sabse pehle apko bata du ki jin jin editing applications ke bare me aaj hum app ko batayege unme se Kuch applications free hai or Kuch applications paid hai app free applications se bhi asani se editing  kar sakte hai. apko koi bhi applications ka pro version lene ki jaroorat nahi hai.

Best Mobile editing apps 2022

Dosto mobile se professional jaise photo edite karne bahot sare application use hote hai lekin usme jo best application hai vo ajj hum apke liye leke aye hain.

1) Snapseed  

Dosto Snapseed application ek free application hai jo apko asani se play store ya App Store pe mil jayega Snapseed application ka home interface apko Kuch esa dekhne ko milega.

Snapseed application me Home Screen pe plus ka icon apko dikhega uske uper click karne baad apko koi bhi photo add kar lena he gallery se select karne ke baad.

Ye application me photo add karne baad tool option pe click karna he apko jese uper photo me dikh raha he tools option uske uper click karne ke baad apko bahot sare options ayenge jisme  alag alg options me apko color correction ,healing,skin smoothing ,blur , white bhi kar skte hai aap is application me photo.

Dosto ye Snapseed application bilkul free hai aap ise play store ya App Store se asani se dowenload kar skte hai.

2) Lightroom

Dosto Lightroom application free bhi hai or paid bhi he matalb ki iska premium version bhi hai or free version bhi hai. Lightroom application me apko Kuch services free me milegi or Kuch services paid he jo premium subscription lene ke baad milega.

Lightroom application me apko Kuch esa interface dekhne ko milega Home Screen ka jo niche dikhaya gaya hai.



Lightroom application me gallary se photo add karne ke baad apko Kuch esa interface dekhne ko milega yaha pe jaise humne pehle bola Kuch services free hai or Kuch paid hai.

Dosto Lightroom application me aap photo me lighting ,Color corection , smoothing or bhi bahot sare services ke madad se aap apne photo ko free me edite kar skte hai isme premium version ki jaroorat apko padegi nahi jyadatar aap free version bhi kaam chala sakte hai .

Dosto jo professional editors or photographers hai vo is app application ka use karte hai. Ye application asani se apko play store ya App Store me mil jayega aap ise free me dowenload kar skte hai play store ya App Store se or ye Lightroom application desktop ke liye bhi hai Matlb aap ise apne computer ya laptop me bhi install kar skte hai app asani se Lightroom application ka software dowenload karke install kar skte hai apne computer me.

Hum Lightroom me photo editing kaise karna he iske bare me alg se post dalenge jisme apko hum Lightroom application me photo kaise edite karte iske bare me puri information de dege vese to bahot easy hai Lightroom me photo edite karna.

3) Picsart 

Dosto Picsart application apko free version or premium version dono apko Picsart application me dekhne ko milega.

Picsart application apko niche diye gaye photo ki tarah apko interface dekhne ko milega Home Screen ka


Jaise dosto apne uper photo me dikh raha he esa interface dekhne ko milega apko picsart me gallary se photo add karne ke baad.

Picsart me aap asani se photo editing kar sakte hai or isme bhi premium version lene ki kuch jyada jaroorat nahi he aap free version bhi kaam chala sakte hai free version me apko Kuch ads vagera dekhne ko milega or premium version application ads free rahega Matlb premium version me apko koi bhi ads dekhne ko nahi milega.

Dosto picsart application apko asani se play store yaa App Store se dowenload kar sakte hai bilkul free me or is application ko bhi jo basic editors ya photographers hote he vo suruaati dur me use karte hai to aap is application ka bhi use kar sakte hai Picsart application ko use karna bahot hi aasan hai asani se app photo edite ke sakte hai.

4) Remini

Dosto remini application ek enhancer application he or ye application free version or premium version dono available he isme aap free version ko bhi use kar sakte hai usme kuch ads vagera dekh ke app photo ko enhance ke sakte hai or agar aap premium version lete hai to usme apko ads free mil jayega Matlb premium version me apko ads dekhne ko nahi milegi.

Remini application me photo kaise edite ya enhance karna h iske uper hamne ek pura post likha hai aapko niche link diya hai click here wale button pe click kijiye or direct us page se redirect ho jayega.


Remini application apko dosto play store ya App Store me asani se mil jayega aap ise free me dowenload kar sakte hai .


Dosto apko agar humara post achha laga ho to ise share jaroor kar dena or aap agar Kuch bhi information chahaiye to aap Hume comment karke bata sakte hai hum apne post ke threw apni problem solv karne ki koisis karenge.

Thank You…
Photo Ki Qulity Kaise Badhaye?

Photo Ki Qulity Kaise Badhaye?

 Photo Ki Qulity Kaise Badhaye?

Dosto aap sabka Swagat hai humare is Website TheSattuNet Me or ajj hum apko batane wale hai ki kisi bhi photo ya image ki qulity kaise badhaye ? To dosto app is post ko pura padhe jis se apko pata chalega ki koi bhi editor kisi bhi blur image ya low qulity wale image ko kaise thik karta hai.




Dosto aap sabke sath bhi ye probm hota hoga ki photo click karte vakt Apka hand hill jane ki wajah kabhi kabhi photo blur ata hai to to aap use kaise thik kare or kisi bhi photo ya image ki qulity ko kaise high kare? Ye sab bat aaj hum apko is post me batane wale hai to aap is post ko pura end tak padhe jis se apko photo editing me blur ya low qulity image ko kaise sudhare iske bare main aap jaan paao.


Blur Image Ko Kaise Sudhare ?

Dosto blur image ko sudhar ne ke liye bahot sare tools hai jaise ki Photoshop etc. par apke pass computer ya laptop nahi hai or mobile se hi aap blur image ko sudharna chaahte ho to aapko ek application ki madad leni padegi vo application ka naam hum apko age batayege isi post me.

Dosto ye jo application ke bare hun apko batane wale yah application android users or iOS users dono ke liye available hai.

Yah application paid application hai lekin isme apko blur photo thik karne wala option bilkul free hai to aap asani se bilkul free me blur image ko thik kar sakte hai.

Dosto hum jis application ke bare me baat kar rahe hai us application ka naam hai Remini  is application ko asani se play store ya App Store se dowenlod kar sakte hai.

Remini app Kya hai ?

Dosto remini app ek editing application hai jo professional editors apne photos ya images inhance karne ke liye use karte hai. 

Remini app ke andar aapko bahot sare features dekhne ko milte jaise ki aap isme blur photo ko Inhance krke thik kar sakte ho , blur  video ko inhance kar sakte ho lekin ha dosto is application ke andar apko sirf photo hi free me inhance kar sakte hai kyuki blur video ko inhance karne ke liye apko Remini application ka premium subscription lena padega .

Remini app ko Use Kaise kare?

Dosto remini application ko use karna bahot hi Aasan hai .aap asaani se remini app anadar apne blur ya low qulity wale photo daal ke inhance kreke usko sudhar ke high qulity me convert kar sakte hai bilkul free main.

Remini app me photo ko inhance kaise karna ye hum apko step to step batate hai taaki aap achhe jaan pao.

1)Remini app me apko blur ya low qulity wale photo ko sudharane ke liye sabse pehle apko remini application ko dowenload karna padega jo apko asani se play store ya App Store me mil jayega aap aasani search karke dowenload kar sakte hai. Remini app ka size 200mb hai or yah application trusted hai to apke data leak hone ka bhi koi dar nahi rahega to aap bilkul nishchit rahe or remini app ko dowenload kar dijiye.

2)remini app ko dowenload karne ke baad apko sabse pehle application me login ya sign up karna padega yaani ki apko pehle account create karna padega aap email ke threw yaa fir Facebook ke threw direct bhi account bana sakte hai vo easy rahega. Or aap apne mobile number se bhi sab details fill karke account bana sakte hai lekin apko Facebook yaa email se hi account create karna hai.

3)account create krne ke baad apko remini application ke anadar apko vo photo ko add karna he jo blur ya jiski qulity low ho or aap use sudharna chahte ho. Fir apko usko photo ya image ko remini app me add karna hai.

4)remini app me photo ko Selct karne ke baad apko Kuch esa interface dekhne ko milega


Dosto aapko jo uper screen shot me dikhaya gaya he us tarah ka page apko apke mobile pe dekhne ko milega .

Agar apne remini app ka premium subscription liya hai to aapko enhance + par click karna hai or agar apne remium premium subscription nahi liya hai to apko sirf black Color ke inhance wale first button pe click karna hai.

Enhance butoon pe click krne ke baad apko ek 30sec ka aad ayega usko chalne dena hai or 30 second khatam hone ke baad us add ke andar uper kone me cancel ka option Hoga waha pe click karna hai. Or add ko close kar dena hai.

Add ko close krne ke baad app direct photo ko inhance karne wale page par pohch jaoge.

5)remini app me aad ko close karne ke baad inhance wale page me apko vo photo dikhegi jisko apne pehle add kiya hoga or uske sath me hi apko waha pe us photo ke site me ek line dekhne ko milegi us line ko apko left ki taraf swipe karna hai jaise jaise aap us line ko swipe karoge vese hi apka blur photo thik hone lagega jitna aap line ko swipe karoge itna hi photo ka clearity Achha hone lagega . To apko us line ko pura swipe kr lena hai . Or fir apko vo blur image ki clearity acchi dikhane lagegi or apka blur image thik lagega.

Agar apke image ya photo ki qulity sahi nahi hai or aap use sudharna chaahte ho to bhi apko us photo y image ko ese hi swipe karke inhance karna hai jis se apka jo low qulity ka photo hai sudhar jayega.

6)photo ko inhance karne ke baad apko niche saved to gallary ka option dikhega vaha pe click krke apko us photo ya image ko high qulity me save kar lena hai .Or fir apne mobile phone ki gallary ko open karke us photo ko khol ke usme zoom karke chek karna he apka photo sahi ho gya Hoga.

To dosto Aasha karte hai ki apko humari post pasand aayi ho or apke liye helpful rahi ho to aap use share jaroor kar dijiye share karna na bhule .

Note :-yah post sirf apko image ki qulity kaise sudharne ye batane ke liye kiya gaya hai is post me is application ka koi promotion nahi hai.


Thank You….
WinZO app se paise kaise kamaye ?

WinZO app se paise kaise kamaye ?

 WinZO app se paise kaise kamaye ?

Dosto aap sabka ek bar fir se swagat hai humare is website TheSatuNet me or aaj hum apni Winzo application ke bare me batane wale hai ki winzo  app se paise kaise kamaye ? Proof ke sath hum apko sab kuch batayege to aap post ko pura padhe taaki apko winzo application ke bare me saari janakari mil jaye.




Dosto app sabko pata Hoga ki avi online ke zamane me play store yaa App Store me ese bahot sare application hai jo apko online earnings ke liye use kiye jaa rhe hai. Lekin dosto ye Winzo app 100% genuine or trusteble hai or apko ye withdraw ka paisa bhi instants apke bank account ya paytm me de deta hai.

Winzo application android or iOS dono users ke liye available hai to app koi bhi device use karte ho apko koi probm nahi hoga.

To dosto sabse pehle ye jan lete he winzo application kya hai? or ise kaise use karen?

WinZO app kya hai?

Dosto winzo app ek online earning application hai jisme aap baht se game khel ke paisa kama sakte ho. Winzo application ke andar baht sare games apko dekhne ko mil jayega jaise ki Ludo , cricket , cards game , teen Patti , poker , fighting game ,racing game etc. ese baht sare games apko winzo application ke andar dekhne ko mil jayega. 

Aap winzo apps me games khel online earrings kar sakte hai. Or winzo application ke andar ek world war tournament bhi chalta hai ye sab ke bare me hum age baat karenge.

To dosto ab apko pata chal hi gaya hoga ki winzo application kya hai ab hum apko batate hai ki winzo app ko use kaise karna hai or winzo app se paise kamane hai ?

WinZO app ko use kaise kare?

Dosto winzo application ko use karna bahot hi Aasan he aap isme money invest karke bhi paisa double kar sakte hai. Or agar apko investment nahi karna hai to aap direct game khel ke bhi paisa kama sakte ho.

Winzo application ke ek khas baat he ki apko daily winzo application main daily bouns bhi milega or use aap game khel ke paisa bhi kama sakte hai. Or aap free games khel ke bhi paisa kama sakte hai.

Ab hum apko batate step to step ki apko winzo app ko use karke kaise paisa kamana hai?

1) dosto winzo application se paise kamane ke liye apko sabse pehle winzo application ko dowenload karna padega winzo app apko play store ya App Store me apko asaani se mil jayega. 

Winzo app android or iPhone dono users ke liye aapke pass koi bhi Android ya iOS device ho aap winzo app ko use kr sakte hai.

Agar aap winzo app ko direct dowenload karna chahte hai to niche diye gaye dowenload ke button par click kijiye direct apko winzo app ke dowenling page pe redirect kar dega

Winzo app dowenload link :- Dowenload

2)WinZO app ko dowenload karne ke baad apko uske account create karna padega. App me account create karna boht Asan hai aapko sirf mobile number daal ke registered kar dena hai or apka account create ho jayega.

3)dosto winzo me account banane ke baad apko usme bahot sare games dekhne ko milega winzo application ke Home Screen pe jaisa ki niche photo me dikhaya gaya he.


Dosto jaise apko uper image me interface dikh raha hai vaisa same apko apke winzo application k Home Screen par dekhne ko milega .

Winzo me bahot sare games dikhaye gaye hai. Inme se Kuch games free hai or Kuch game khelne ke liye winzo account me paisa dalna padega jaise ki apne 100rs dala game khelne ke liye or fir apko vo game khelna hai agar app jit gaye to 100rs ka sidha double 200rs milega. Or aap isme free wale games bhi khel sakte ho jisme prize amount thoda low hoga lekin vo free hai so is liye apko jo vi pasnd ho aap khel sakte hai.

4)dosto winzo application ke andar apko ek or option milta hai world war jisme apko Free Or Paid dono type ke games dekhne ko mil jayega.

World war tournament me apko free wale game ke liye price rate low milega is liye apko winzo account me thode paise daal lena hai jise apko world war tournament ke paid game ke liye use karna hai.


World war tournament wale page k interface apko uper jo photo me dikhaya gaya hai us tarike se dekhne ko mil jayega. Isme apko jyada paid wale tournament khelne hai.

Aap agar jaise ki 10rs wale tournament pe click krke 10rs pay karoge to apko 2 ya 4 card dekhne ko milega jisme se apko ek vard ko select karna hai or apko fir gem khelna hai agar apne jis card pe click kiya hai us card ka score jyada hai to apko 10rs ki jagah pe 18rs milega ese hi isme baht high rate tournament bhi he aap try jaroor kar sakte hai 

5)dosto  apne jo paisa winzo app se jita hai aap use apne bank account ya paytm me transfer kar sakte hai apko instant apke bank account ya paytm ke anadar amount recive ho jayega.

Humne bahot bar paytm me withdraw kiya hai winzo se jita huva amount apko niche photo me dikhaya gaya hai.


To dosto jaise ki humne apko uper screenshot mai dikh diya Gaya hai ki winzo application paymnt deta hai . 100% genuine or trusted application hai.

6)dosto winzo application me aapko or bhi bahot sare tournament bhi mil jayega aap is winzo application me apni cricket team bana ke bhi paisa kama sakte hai. Or instant appne bank account ya paytm me le sakte hai.

Dosto aasa karte hai ki apko ye application pasand aya hoga agar apko humari information acchi lagi ho to post ko share jaroor kar dijiyega. Hum apke liye ese hi online earnings or bahot sare posts late rahege.

Note:-dosto ye post koi application promoting ke liye nahi ye post humane apko winzo application se online eating kaise hota hai ye batane ke liye humane ye post dala he isme winzo app ka koi promotion nahi hai 

Thank You…
Instant Personal Loan Kaise Le ?

Instant Personal Loan Kaise Le ?

 Instant Personal Loan Kaise Le ?




Dosto aap sabka swagat he Humare Is Website ‘TheSattuNet’ Me Or aaj hum apko batane wale ki instant personal loan kaise milega low CIBIL par bhi 100% apko loan mil jayega to dosto aap is post ko pura padhe apko is post me loan kaise milega , kaha se milega, kitna milega ye sab apko batane wale hai is lie post ko pura padhe.



Instant Low CIBIL Personal Loan.


Dosto aap sabko pata hi Hoga ki abhi online ke zamane me bahti sari finance company’s apko loan provide karti hai jisme che Kuch company’s fake bhi hoti he jo apke Documnts le leti he lekin apko loan provide nahi karti hai or apne jo documnt loan lete vakt une diye hote un Documnts ka vo log galat tarike se istmaal karte hai. Dosto to apko kisi bhi finance company se loan lene se pehle us company ke bare me puri jankari leni hai fir apko loan ke lie apply karna hai .


Aaj hum apko instant personal loan dilawane wale he ek application ki madad se dilavane wale he aap is loan ko ghar bethe apne mobile se le sakte ho ye application pe aap 100% trust kar sakte ho humne khud is application se pehle loan leke try kiya hai. Humne is application ko use karne ke baad hi apko is application ke bare me bata rahe hai.


Dosto aaj jo application hum apko batane wale he vo 100%  real or RBI Registered Application hai. Or ye application apke sath kisi bhi tarah ka fraud nahi karega ye application 100% genuine hai to apko chinta karne ki bilkul bhi jaroorat nahi he is application se apko 100% loan mil jayega .


Dosto aaj hum jo apko loan application ke bare me batane wale vaha pe apko instant loan mil jayega apko bas kuch documnts andar dalna rahga or just instant apko loan limit mil jayega or aap ise turant apne bank me transfer kar sakte ho.


Jo loan application ke bare me baat kar rha hu us application ka naam hai Pocketly. Yah application ka link apko niche mil jayega aap vaha se direct dowenlod kar sakte ho ye application android or iPhone dono ke liye hi available hai to apko play store ya App Store me dikhane ko mil jayega agar apko na mile to humne niche is loan application ka direct dowenload link diya hai aap waha se dowenload kar sakte hai.


Pocketly App Kya Hai ?


Dosto yah application ka naam Pocketly hai or aap ise play store ya App Store se dowenload kar sakte hai humne niche link vi Diya hai aap chahe to vaha se bhi dowenload kar sakte hai .



Ye application he dosto apko uper image me dikhaya gaya he ye application bilkul free hai apko iske kuch bhi charge pay nahi karna rahega ye apko asani se play store ya App Store me mil jayega yaa fir aap niche hum link dege waha se bhi dowenload kar sakte hai .


Pocketly application ek loan application hai jo apko bahot kam documnts pr low CIBIL score par bhi instant personal loan provide karti hai .


Pocketly application made in India hai or RBI registered company hai to apko chinta leni jaroorat nahi he ek dum trusted or genuin application hai .



Pocketly Se loan Kaise milega?


Dosto Pocketly application se loan lena ek dum asaan hai ye application apko asani se loan provide kar deti hai. to chalo dosto step to me apko batata hu ye application ko use kaise karna hai? Or ise loan kaise lena hai ?



1)first apko Pocketly application ko dowenload karna padega . Pocketly application ko aap play store ya App Store se dowenload kar sakte ho Pocketly application apko asani se mil jayega. Ye application android or iPhone dono device ke liye available hai.


Agar apko Pocketly application ka direct dowenload page pe Jana chahte ho to aap niche diye gaye dowenload now ke button pe click kare sidha apko Pocketly application ke dowenloading page pe redirect kar dega .


Pocketly Application Link : -  Dowenload



2)Pocketly Application ko Dowenload karne ke baad apko  Pocketly application me registered karna hai isme account banana bahot asaan hai.



3)third apko Pocketly application ke account banate vakt apko Kuch documnts ki zaroorat padegi jo apko hamne niche bataye hai .


Adharcard 

Pancard

Address Proof

Bank account number


Dosto bas itne hi documnts me apko asani se Pocketly app se instant personal loan mil jayega .



4)Pocketly application me sab documnts dalne ke baad registered karne ke baad apko video kyc karna padega jisme apko video kyc se pehle kuch instructions dege uske hisab se apko video kyc me baat karna rahega .


Video kyc submit karne ke baad Pocketly application wale apke account ko verify karge . Account verification me 24 hour ka time dikhaya rehta hai lekin itna time nahi lagta apko maximum 1 se 2 hour ke bich me apka account verified ho jayega. 



5)account verified hone ke baad apko apke credit ke hisab se apko ek limit milega agar Apka credit score achaa to apko bada limit milega. Or agar Apka credit score kharab hai to bhi chinta karne ki koi baat nahi hai apko 100% credit limit milega chahe low limit mile par milega zaroor fir aap us limit ko increase bhi kr sakte hai . Ye hum apko aage batayege 


6)Pocketly application me limit mil jane ke baad apko Home Screen pe Kuch esa interface dekhne ko milega jo apko niche ki image me diya gaya hai .



Dosto apko Pocketly ke Home Screen par kuch esa interface dekhne ko milega.


7)Pocketly application ke Home Screen me apko ek button dekhne ko milta limit ke niche get money ka uske uper click kariye or apna bank account number or ifsc code vagera sab fill karne ke baad apko instant apke nani me loan amount recive ho jayega.



Dosto ye rha Pocketly application loan deta hai uska proof  ye application jyada charge bhi nahi karta.


Dosto Pocketly application jo apko loan mila hai vo 1 month ke liye diya jata hai . To aap time se repayment karoge to apka limit bhi increase Hoga .


Note:-yah post me jo application ke bare me bataya gaya hai vo apke help ke liye bataya gaya yah yah koi promotion ke liye nahi hai .


Dosto agar apko humara post acha laga ho to share kar dena. Hum apke liye ese hi interesting post laate rahege .



Thank You…

How To Find Job ?

How To Find Job ?

Job kaise Dhundhe ? (How to find Job?)

Dosto aap sabka swagat hai humare is Website TheSattuNet Me or aaj Hum apko Batane wale hai ki aap apne lie job kaha se dhundhoge kaha se apko job milega to dosto ye sab janane ke lie post ko pura padhe.


Dosto to jaise apko pata hi Hoga abhi is online ke zamane me job milna mushkil ho gya hai . Agar aap padhe likhe hai to to thik hai apke pass deggree hai to to thik hai apko kahi pe bhi asani se job mil jayega. Lekin jo bina padhe huve nahi he jinke pass deegree or certificates nahi he unko bhi ab chinta krne ki zaroorat nahi hai aaj hum apko ek ese plate form ke bare me batane wale jisme sabke liye jobs available rehte hai.

Apne agar kahi pe job nahi kiya ho apke pass experience na ho to bhi is plate form pe baht sare jobs freshers ke liye bhi he to aap Bina experience ke bhi job ke lie apply ke sakte hai yaha pe se apko job milne pr Achha salary bhi mil jayega or kaam bhi aap dhundh sakte ho apne liye.

To dosto jis plateform ki me baat kar rha hu job find karne ke lie us plate form ka Naam Indeed Hai . Yah ek compny hai jo apko job dhundhane me help karti hai iske uper 100% genuine jobs milte hai .  To aap is post ko pura padhe taaki aap jaan pao ke is company me se job kaise dhundhe or apply kaise kare .

Indeed Job Kya Hai ?

Indeed ek company hai jo apko job dhundh ke deta hai. Yah company me apko job dhundh ke dene ka bilkul bhi charge nahi karta yah bilkul free hai. Yaha se aap bilkul free me job dhundh sakte ho jo job apko pasnd ho salary Achha ho to aap bilkul free me apply kar sakte hai job ke liye .



Dosto ye is company ka logo hai yah company ki website or application Dono hai aap dono jagah se job dhundh ke apply kar sakte hai . 

Indeed Job ki website par jane ke liye niche diye gaye link par click kare or direct indeed ke website me chale jaoge.

Dosto yah indeed company ka application bhi hai jisko aap dowenload karke aap direct is application me bhi job dhundh ke apply kar sakte ho. Yah indeed company ka application android or iPhone dono users ke lie available hai.

Agar aap inki application dowenload karna chaahte he to kar sakte he vo apko asaani se App Store ya play store me mil jayega .

Ye indeed company ek videshi company hai jo apko koi bi location ke job dhundhne ke lie apko help karti bilkul free mai iska kuch bhi charge nahi hai 100% free or real hai.

Indeed company apko app jaha pe rehte ho us jagah ke aspas me job dhundh ke dega India me kahi pe bhi mil jayega job lekin aapke pass me job chahaiye to aap apne asps address daal ke bhi chek kar sakte hai agar koi job available hogi to app uske lie apply kr sakte hai .

Agar aap padhe likhe ho apke pass deegree or qualifications ke certificates hai to aapko government job bhi mil sakta hai . Is indeed company me sab tarah ke job vacancy ate government or private company’s ke liye job milte hai.

Agar appke pass qualification k certificates nahi he to bhi apko Yaha se job mil sakta hai yaha pe baht sare private limited company’s bhi hai jisme apko baht sare job mil sakte hai jaise ki storekeeper , shoping mall , security , managers, hotels, private company, hotel management, office staff , office management etc. ese baht sare jobs apko dekhne ke lie mil jayega jisme qualification ki jyada jaroorat nahi hai .

Indeed me job kaise dhundhe ? or Apply kaise kare?

Dosto indeed company me website or application dono tarike se job find kar sakte hai or apply kar sakte hai job ke liye.

Jisme se aaj hum apko indeed application ki madad se batate hai ki job kaise dhundhte hai or apply kaise karte hai?

Dosto apko jo uper ek image dikh raha he Vesa he same apke indeed application ya website ka interface Hoga .

Indeed me aapko sab tarah ke job mil jayega jaise ke government , private , online vagera sab tarah ke job apko indeed company ke application me mil jayega.

Indeed me Job Kaise khoje ?

1)Indeed ke application ya website ke uper top ke uper hi apko search bar dikh jayega jisme apko jaisi job chahaiye Matlb kis tarah ki job apko chahaiye koi company ya etc uske hisab se apko jaisi job chahaiye vaise search karna padega.

2)second apko search bar ke niche hi location option dikhega vaha pe apko us jagah ka naam dalna hai jaha pe aap job karna chaahte hai . Aap kisi bhi location pe job dhundh sakte hai .

3)third apko search bar or location wale box ke niche baht sare options milega jisme aapko kis typ ka kaisa job chahaiye vo app bata sakte ho jaise ki full time chahaiye ya par time or isme salary kitna hona chahaiye jo app job kar rahe he apke qualification vagera ye sab details apko is section me dalna rahega  or fir job ke lie search karna padega .

4)fir apke application ya website ke screen pe job find hona start ho jayegi or Kuch hi der me apko baht sari jobs apko vaha pe dekhne ke mil jayegi.

5)aapko jo bhi job vaha se pasand jisme salary vagera sab kaisa he aap khud hi dekh lena aap ko jo job pasnd aye sare jobs me se uske uper click kariye or fir hum apko batate hai ki job ke lie apply kaise karna hai.

Indeed Me Job Ke Liye apply Kaise kare?

Indeed me apko jo bhi job apne pasand kiya hai uske uper click karne ke baad apko Kuch esa page dekhne ko milega.


Apko Kuch esa interface dekhne ko milega jaisa uper dikh rah he job pe click karne ke baad.

Fir apko job ke bare me sari details Achhe tarike se padh lena he pura or fir aaply now pe click karna hai or fir aap resume daal ke ya fir contact number leke bhi job ke bare me baat chit kar sakte ho.

To dosto agar apko humare post pasand aayi ho to share jaroor kar dena .

Note:- yah post koi application ke promoting ke liye nahi he ye post sirf apko job dhundhne me help karne ke liye likha gaya hai koi promoting nahi hai.

Thank You…
iPhone Main YouTube Videos Kaise Dowenload Kare?

iPhone Main YouTube Videos Kaise Dowenload Kare?

 iPhone Main YouTube Videos Kaise Dowenload Kare?



Hello dosto aap sabka swagat he humare is website TheSattuNet main or aaj me apko batane wala Hu ki iPhone me koi bhi YouTube videos kaise aap apne iPhone me dowenload kar sakte hai.

Dosto jese ki aapko pata hoga ki aap Apne Apple device me  android mobile ki tarah koi bhi YouTube video vidmate ya koi other  application se dowenload karte the vese aap apne Apple device me nahi kar sakte kyu ki Apple company android applications ko supprt nahi karta hai to  apko apne Apple iPhone me Koi bhi YouTube videos dowenload karne ke lie kya karna hoga ye janne ke lie post ko  pura padhe me apko Avi  batane ja rha hu ki aap aapne  aaple device me koi bhi YouTube videos kaise dowenload kare

iOS me Yt Video Dowenload Kaise Kare?

Dosto to agar aap apne youtube me se koi bhi video dowenload karna chahte ho apne Apple device me to aap use direct dowenload nahi kar sakte uske liye apko ek application dowenload karna padega jo apko asani apko aapke koi bhi iPhone device me mil jayega.

To dosto apko is application ko dowenload karne ke lie sabse Pehle apko apne apple iPhone APP Store kholna padega or waha pe search bar ko open karke waha pe apko is application ka naam search karna rahega .

Aap jo apne Apple device ke App Store me jo application ka naam apko search karna he. Us application ka naam hai BlackholeSpliter . 

Dosto sabse pehle apko is application ko dowenload karna rahega jo apkko apne Apple iPhone ke App Store me mil jayega agar apko is application ko dhundhne  problm ho rha he ya nahhii mil rha to apko is application ka direct dowenlodd link. apko aage is post me de dege aap waha se bhi doweanload kar sakte ho agar apkko dhundhane me koi problm ho rhha he to aap niche age isi post me link milega aap waha se. Doweanload kar sakte ho is application ka file size koi jyada bada nahi he is application ka size sirf 16MB hai.

Sabse pehle agarr apne is application ko download nahi kiyya hai to pehle dowenload kar lo or. Agar dowenload kar liya hai to aapko hum batate hee ki is application ko use kaise karna he YouTube ke videos dowenload kaise karne hai.

Lekin ise pehle aap is application ke bare me thoda orr jankari dekh lo jo apko niche mil jayegi.


Blackhole Application Kya Hai?

Dosto blackhhole splitter ek. Video dowenload ung application hai jisse apne Apple iPhone me koi bhii Youtube ka video ya movies bilkul free mani dowenload kar sakte ho Iske lie apko koi paisa vagera Pay nahi karna rehega ye application bilkul  free hai.

Ye BlackHole Application ko ek BlackHoleSpliter naam ki company ne banaya hai. 

Is application ki ek khas baat ye he ki aap is application me sirf youtube ke videos hi nahi bal ki Instagram ,facebook ke videos or reels bhi dowenload kar skte ho bas appko apne Instagraam , Facebook ya YouTube se jo bhi video aapne apple ke iPhone main dowenload karna chahte ho us video ka link apkko apko is blackhole application me paste karna rahega or aap asaani se video dowenload kar skate ho.

To chalo dosto ab hum appko batate he ki Blackhole application ki madad se hum koi bhi video dowenload kaise kare.

Blackhole application ko use kaise kare?

Dosto to ab hum apko batate he ke blackhole application ki madad se koi bhi youtube video ,facebook ya instagram ki reels or story’s kaise dowenload kare or use apne Apple iPhone ki gallery me save kaise kare.

1) first apko agar YouTube ka video ,Facebook ki reels yaa story ya video ya fir Instagram ki photos , videos ,story ,igtv videos ya fir reels dowenload karni he to apko sabse pehle uska link copy karna padega.


2)second apko aapne jo apne Apple iPhone me blackhole application install kiya he use open karna padega.

Yaha pe uper jo apko photo me dikh rha he is tarike se apko blackhole spilter application apko apne Apple iPhone me dikhega to apko Home Screen load hone tak wait karna padega bluehole application puri tarah se load hone ke baad apko kuch esa hi interface dikhega jo uper apko image me dikha raha hai.

3) third apko blue hole application me jo circle dikh rha he round me uske uper us link ko paste karna he apne apne youtube , Facebook ya Instagram se copy kiya he dowenload karne ke lie us link ko apko is blackhole application me jo circle dikh rha he round round uske uper click karna padega sirf ek hi bar is cercle pe click karna link automatically paste ho jayega.


Apne jo link paste ki he uske bad apko kuch esa interface dekhne ko milega jo uper image me dikhaya gaya he.


4)fir apne jo link ko blue hole application ke homepage me jo circle he usme paste kiya rahega uske baad add aeyga jese apko uper image me interface dikh rha he isi tarike se apko bhi ek add dikhne milega jo 30 second ka hoga or apko 30 second tak us add ko chalne dena he fir uper apko cancel ka option dikhega vaha pe click karna rahega.

Blue hole application me kabhi kabhi 15 second ka bhi add aa jata he to 15 second ka aad aye to apko 2 baar ads dikhega to apko 2 ads dekhne rahege application me 15 second ka add aye to apko 15 second tak wait karna he fir apko cancel karna he or 15 second ka hoga to fir se ek or add ayega uske andar bhi apko us add ko bhi 15 second tak dekhna he or fir uper cancel ka option Hoga vaha pe click karke add ko cancel karna rahega.


5)apne jo black hole application ads cancel karne ke baad apko apne jo bhi video dowenload karne ke lie link ko copy karke black hole application me dala hoga vo video dowenloading hona start ho jayega niche apko ek line dikhega apne black hole application ke homepage me kaha pe  apko dikhega ki video dowenload hona start ho Gaya hai.


6)video dowenload ho jane ke baad vo video automatically apke apple iPhone ki gallery me save ho jayega aap apne iPhone ki gallary open karke check bhi kar sakte hai .


7) Apka video gallery me save hogya agar video dowenlod hone ke baad bhi save nahi huva he to apko kya karna padega  vo hum batate he jyadatar video automatically save ho jata he lekin  kabhi kabhi koi error ke vajah se save nahi hota to apko black hole application ke home page me hi niche ek video ka option Hoga  vaha pe click karna rahega vaha uper kuch chhote chhote circle dikhega apko vaha pe click karna rahega.

8) black hole application ke videos wale option pe click karne ke baad apko kuch esa interface dikhega.


Uper jo image me dikhaya gaya he esa interface ane ke baad apko vo sab videos dikhega jisko apne dowenload kiya hoga.
Fir apko jo bhi video aap save karna chahte apke iPhone ki gallary me us video ke site me apko 4 chhote chote circle dekhega jaise uper image me dikh rha he usi tarah se bas apko un chote chote circle hena vaha pe click karna he or apne video ko gallary me save kar lena he.

Video save karne ke baad aapne iPhone ki gallary me jake usko chek kar sakte ho apko vo video apne iPhone ki gallary me dikh jayega 100% 


BlackHole Application ko dowenload kaise kare?

Black hole application ko aap apne iPhone ke App Store se dowenload kar skte ho agar apko black hole application nahi mil rha he to aap niche diye gaye dowenload ke option pe click karke sidha apko vo black hole application ke dowenloading page pe le jayega vaha se aap black hole application install kr sakte ho.


BlackHole Application Dowenload karne ke lie niche dowenload wale button pe click kare.

Download 

To dosto aapko agar humari ye post pasand ayi ho to share jaroor kar dena hum apke liye ese hi helpful posts laate rahege.

Note :- ye post koi promoting ya is app ko promote karne ke liye hum ne ye post nahi dala he ye aap bilkul free he or humne ye post aapki help karne ke karan se dala he koi promoting nahi he ye application ka to aap bilkul nishtchit rahe.

Thank You…