Featured post

Showing posts with label tipsandtricks. Show all posts
Showing posts with label tipsandtricks. Show all posts
Best Mobile Editing apps.

Best Mobile Editing apps.

 Best Mobile Editing Applications.

Dosto aap sabka Swagat Hai Humare Is Website TheSattuNet Me Or aaj hum apko Kuch best mobile editing applications ke bare me batane wale hai jo editors or photographers ke liye bahot kaam ke application hai to aap is post ko pura end tak padhe .


App sabhi logo ko sayad pata hi Hoga ke professional editors and photographers jyada tar photoshop ka use karte hai. Lekin dosto photoshop computer ya laptop me aap use or sakte ho apne mobile me use nahi kr paoge to mobile me photoshop jaisa photo edite karne ke liye appko kya karne hai kaise karna hai iske bare me aaj hum apko batayege. Or sath hi me kuch application ke bare me bhi batayege jo apko koi bhi photo ya image ko edite karne me help karge .

Dosto sabse pehle apko bata du ki jin jin editing applications ke bare me aaj hum app ko batayege unme se Kuch applications free hai or Kuch applications paid hai app free applications se bhi asani se editing  kar sakte hai. apko koi bhi applications ka pro version lene ki jaroorat nahi hai.

Best Mobile editing apps 2022

Dosto mobile se professional jaise photo edite karne bahot sare application use hote hai lekin usme jo best application hai vo ajj hum apke liye leke aye hain.

1) Snapseed  

Dosto Snapseed application ek free application hai jo apko asani se play store ya App Store pe mil jayega Snapseed application ka home interface apko Kuch esa dekhne ko milega.

Snapseed application me Home Screen pe plus ka icon apko dikhega uske uper click karne baad apko koi bhi photo add kar lena he gallery se select karne ke baad.

Ye application me photo add karne baad tool option pe click karna he apko jese uper photo me dikh raha he tools option uske uper click karne ke baad apko bahot sare options ayenge jisme  alag alg options me apko color correction ,healing,skin smoothing ,blur , white bhi kar skte hai aap is application me photo.

Dosto ye Snapseed application bilkul free hai aap ise play store ya App Store se asani se dowenload kar skte hai.

2) Lightroom

Dosto Lightroom application free bhi hai or paid bhi he matalb ki iska premium version bhi hai or free version bhi hai. Lightroom application me apko Kuch services free me milegi or Kuch services paid he jo premium subscription lene ke baad milega.

Lightroom application me apko Kuch esa interface dekhne ko milega Home Screen ka jo niche dikhaya gaya hai.



Lightroom application me gallary se photo add karne ke baad apko Kuch esa interface dekhne ko milega yaha pe jaise humne pehle bola Kuch services free hai or Kuch paid hai.

Dosto Lightroom application me aap photo me lighting ,Color corection , smoothing or bhi bahot sare services ke madad se aap apne photo ko free me edite kar skte hai isme premium version ki jaroorat apko padegi nahi jyadatar aap free version bhi kaam chala sakte hai .

Dosto jo professional editors or photographers hai vo is app application ka use karte hai. Ye application asani se apko play store ya App Store me mil jayega aap ise free me dowenload kar skte hai play store ya App Store se or ye Lightroom application desktop ke liye bhi hai Matlb aap ise apne computer ya laptop me bhi install kar skte hai app asani se Lightroom application ka software dowenload karke install kar skte hai apne computer me.

Hum Lightroom me photo editing kaise karna he iske bare me alg se post dalenge jisme apko hum Lightroom application me photo kaise edite karte iske bare me puri information de dege vese to bahot easy hai Lightroom me photo edite karna.

3) Picsart 

Dosto Picsart application apko free version or premium version dono apko Picsart application me dekhne ko milega.

Picsart application apko niche diye gaye photo ki tarah apko interface dekhne ko milega Home Screen ka


Jaise dosto apne uper photo me dikh raha he esa interface dekhne ko milega apko picsart me gallary se photo add karne ke baad.

Picsart me aap asani se photo editing kar sakte hai or isme bhi premium version lene ki kuch jyada jaroorat nahi he aap free version bhi kaam chala sakte hai free version me apko Kuch ads vagera dekhne ko milega or premium version application ads free rahega Matlb premium version me apko koi bhi ads dekhne ko nahi milega.

Dosto picsart application apko asani se play store yaa App Store se dowenload kar sakte hai bilkul free me or is application ko bhi jo basic editors ya photographers hote he vo suruaati dur me use karte hai to aap is application ka bhi use kar sakte hai Picsart application ko use karna bahot hi aasan hai asani se app photo edite ke sakte hai.

4) Remini

Dosto remini application ek enhancer application he or ye application free version or premium version dono available he isme aap free version ko bhi use kar sakte hai usme kuch ads vagera dekh ke app photo ko enhance ke sakte hai or agar aap premium version lete hai to usme apko ads free mil jayega Matlb premium version me apko ads dekhne ko nahi milegi.

Remini application me photo kaise edite ya enhance karna h iske uper hamne ek pura post likha hai aapko niche link diya hai click here wale button pe click kijiye or direct us page se redirect ho jayega.


Remini application apko dosto play store ya App Store me asani se mil jayega aap ise free me dowenload kar sakte hai .


Dosto apko agar humara post achha laga ho to ise share jaroor kar dena or aap agar Kuch bhi information chahaiye to aap Hume comment karke bata sakte hai hum apne post ke threw apni problem solv karne ki koisis karenge.

Thank You…
What Is netwrok Marketing? In Hindi

What Is netwrok Marketing? In Hindi

 Network Marketing क्या है?


Dosto aap sabka Swagat hai humare website TheSattuNet me. Or aaj hum apko network marketing ke bare me batane wale hai ki akhir network marketing kya hai . Or network marketing karne se apko kya kya fayde honge iske bare me aaj hum apko batayenge to aap agar network marketing ke bare me janana chaahte hai ya fir aap network marketing karne ke bare me soch rahe hai to is post ko pehle pura zaroor padhiye is post me apko netwrok marketing ke bare me sari information mil jayegi.


Dosto netwrok marketing aap 2 tariko se kar sakte hai ek offline netwrok marketing or ek online netwrok marketing jisme se aaj hum is post me offline netwrok marekting ke bare me batane wale hai . Lekin use pehle ye jaan lo ki netwrok marketing akhir hota kya hai.


What Is Netwrok Marketing?


Netwrok marketing dosto ek business hai. Apka khud ka business jisme naa hi apka koi boss Hoga aap khud apne boss rahoge .or aap bahot kam investment par apna khud ka bussiness start kar sakte hai.


Dosto netwrok marketing ka Matlb apko apka khud kaa netwrok banana hai. Matlb ye ki apko apni khud ki team banani hai or us team k sath kaam karna hai.agar apko pata nahi hai ki team kaise banate hai team ke sath work kaise karna hai to to niche diye gaye link ko open karke team work kya hai or kaise kare iske bare me pehle jaan lo.


Team Work क्या हे?ओर कैसे करे।


Team work ke bare me janane ke baad apko sabse pehle ek team banani hai aap offline netwrok marketing karna chaahta hai to apko hum age batayenge lekin online netwrok marketing ke bare me hum apko agale post me batayenge.

Netwrok marketing team banane ke baad hoti hai Matlb ki khud ka network create karna ek typ se ye business hi hota hai. Netwrok marketing business kaise kare ye janne ke liye post ko pura zaroor padhe.

Network Marketing Kaise kare?

Dosto offline netwrok marketing business start karne ke liye sabse pehle apko koi bhi network marketing company ke sath judna hoga jisme apko us netwrok marketing company ke bare me pehle sab kuch jaan lena hai fir apko us netwrok marketing company ke sath judna hai.

Network marketing company ke sath judne ke liye apko us company ke jo bhi products hoge usko sabse pehle purchase karna padega fir apko logo ko aproch karna rahega Matlb ki logo ko apko batana padega ki yaha pe bahot ache products milte hai aap humare products ko us kijiye or humare sath jud jatiye is apko 2 tariko se fayde hoge first fayda ye hoga ki app jis vi netwrok marketing company ke sath jude hai vaha se log products ko buy karenge to apko cumision bhi milega or second fayda ye hai ki jo vi bande ko aap aproch kar rahe hai Matlb jis vi bande se aap baat kar rahe he vo us company se product kharid kar aap ke sath join hoga to ise aap ka team vi banane lagega .

Network marketing company se us bande se kharidi karvane ke baad fir apko us bande ko bolna hai ki tum age logo ko is company ke bare me batao ki yaha pe kya hota hai kaise products milta hai kaisa service hai yaha ka sab kuch app kisi bhi logo ko ya apne family ko batao ki yaha se kharidi kare jaise mene tume aproch kiya vese tume vi karna rahega esa karke batao fir vo banda age kharidi karega to usko vi age aproch karna rahega ese dhire dhire karke ek pura netwrok create hoga or isme bahot paisa hai to aapko acha khasa income bhi generate ho jayega or isme apko jyada mehnat bhi karna nahi padega.

Network Marketing karne ke kya fayde hai?

Dosto vese to netwrok marketing ke bahot sare fayde hai lekin unme se apko hum kuch faydo ke bare me batayege jo khas fayde hote hai unke bare main.

1)dosto first fayda ye he ki aap yaha se jo bhi apko income milega vo baki jagah o se jyada milega Matlb ye ki normally koi bhi jagah pe job karne pe apko jitna paisa mileta hai use kayi jyada Yaha netwrok marketing me Kuch na karna par milta hai bas team banana hai or paisa kamana hai .

2)second fayada ye hai ki isme sabko profit milega aap kisi bande ko aproch karte hai or vo banda apko netwrok marketing company me join hone ke baad apko bhi profit milega or vo Banda company se kharidi karega to company ko bhi fayda hoga or fir vo banda dusro bandi ko aproch karke join karvayega to usko bhi fayda hoga.

3)third fayda ye hai dosto ki netwrok marketing ke threw aap apne sapno ko sach kar sakte hai Matlb ye ki normal job karke aap apne sapno ko pura nahi kar paoge kyuki normal job ke jitna sallry apko milta hai us hisab se sirf kharcha hi nikalta hai to kaise sapne pure honge or netwrok marketing me kya hai aap jitne jyada bando ki invite karoge itna jyada paisa milega or apke team me jo vi Banda age age invite karta jayega aproch karke uska bhi cumision bhi apko milega or us bande ko bhi milega. 

4)netwrok marketing business me apko puri tarah se freedom milta hai Matlb ye ki normally kya hota agar apke pass pisa hai to time nahi hai or paisa or time dono he to security nahi hai lekin netwrok marketing esa Kuch nahi hota hai bas ek bar team bana lo fir time hi time he bas bethe raho paise ate rahege.or isme security bhi mil jayegi or freedom bhi mil jayega freedom milne ke baad aap apne family ke sath bhi time spend kar sakte hai bas sirf ek bar team ban jaye fir apko Kuch karne ki jaroorat nahi hai .

5)dosto fifth fayda ye hai ki aapko isme kisi ka gulam banke nahi rehna padega aap khud apne boss rahoge isme to aapko koi bhi tention lene ki jaroorat nahi h ki boss ye kahega vo kahega vagera vagera Yaha pe aap khud apne boss rahoge.



To dosto isi ke sath ye post khatam hota hai agar post achaa laga ho to share jaroor kar dena or comment me batna agar app ko kuch bhi problem face ho rha he network marketing ya internet threw to milte hai agali post me .


Thank You…

iPhone 11 Review! Lena Chahiye ? Ya Nahi

iPhone 11 Review! Lena Chahiye ? Ya Nahi

 iPhone 11 Review! Lena Chahiye ? ya nahi?

Dosto aap sabka swagat hai humare is website TheSattuNet Me or aaj hum apko batane wale hai iPhone 11 ke bare Me ki kaisa hai device lena chahaiye ya nahi. Agar aap iPhone lene ke bare me soch rahe ho to pehle is post ko zaroor padhe is post me apko puri information diya huva hai ki iPhone lena chahiye ya nahi lena chahiye. 


Dosto aap sabko pata hi Hoga ki abhi is vakt jyadatar log android mobile ko chhod ke iPhone use karne lage hai.  Or App bhi iPhone lene ke bare me soch rahe hai to pehle is post ko pura zaroor padhiye hum apko is post me iPhone ke reletiv saari jankari dege .

Dosto apple iPhones ke device ki price android device se jyada hoti hai. Or apple company ek top brand compny hai to jyada tar log apple company ke device use karna pasand krte hai. Kyuki apple ke device ka performance bahot achha hota hai.

iPhone Kya Hai?

Dosto iPhone ke mobile hai jisko Apple naam ki company ne banaya hai. Aap sab jante hi hoge kyuki apple company ek top brand company hai . Or apples company ke device ki rate bhi bahot high rehti hai . Kyu high rehti hai iske bare me hun apko aage batayege to aap post ko pura padhe .

Dosto apko apple company ke bare me pta hi Hoga jisme ek apple company ni ek device launch kiya tha IPhone 11 aaj hum apko usi device ke bare me batane wale hai Matlb ki iPhone 11 ka review dene wale hai .

Dosto humne Apple Company ke IPhone 11 ko 3 month ise karne baad apko review de rahe hai. Kyuki apko achhe se bata pate ke iPhone 11 kaisa device hai or isme kya kya Achhi cheezein hai or kya kya kharab cheez hai. 

Dosto humne abhi haal hi mai iPhone 11 ki purchase kiya humne use 3 month tak use kiya hai or ab hum apko batayege ke usme kya kya fayde hai or kya kya nuksan hai .

iPhone lene ke kya fayde hai?

Dosto vese to iPhone ke bahot sare fayde hai lekin unme se apko hun jo kuch khaas fayde hai jo hum aapko batayege .

1)dosto iPhone lene ka first fayda ye hai ki apko isme android device ki tarah hang hone ya chipak jane ka probm nahi rahega .

Jyadatar android device me kya hai ki unhe lene ke baad vo kuch samay ke baad hang hone lagte hai lekin apko iPhones me esa kuch dekhne ko milta nahi hai kyuki iPhone ke andar jo processing system lagaye hone vo bahot high qulity ke hote hai is liye apka iPhone android device ki tarah hang nahi karega.


2)iPhone lene ka second fayda ye hai ki apko iPhone ke andar prosesing speed bahot high milega jise aap kuch vi games vagera asani se khel paoge or apka phone leg bhi nahi hoga.

Android device me kya rehta hai ki uska prosesing speed games khelne ke vakt bahot low ho jata hai. Or android ka prosesing system slow hota hai is liye apka mobile leg hone lagta hai.

Lekin apko iPhone me esa kuch dekhne ko nahi milega iPhone bahot achhe se high speed ke sath new mobile jaise work karta hai ese hi karega.


3)third fayda ye hai ki aap isme koi bhi Android application ko dowenlod nahi kar paoge jis se apke mobile virus bhi nahi aa payega or apka device bilkul safe rahega.


4)iPhone ka forth fayda ye hai ki aapko isme gaming performance bahot achha milega jise aap isme aasani battalground pubg mobile ya ese bade bade game aasani se khel paoge bina hang hone ke probms ke.


5)iPhone ka fifth fayda ye hai ki iska look or design bahot hi jyada achha hai to aap use apne hath me pakad ke rakhoge to apko bahot achaa feeling aayega.

Apke hath main apple company ka iPhone dekh ke apke samne hone wala adami bhi apko taraf atrect hoga kyuki apple company ek bahot badi brand company hai is liye.

6)iPhone ka sixth fayda ye hai ki iska camera bahot achaa hai normal android device ke mukabit iska camera bahot achha hai.
Camera ke andar apko isme bahot sare ache ache features dekhne ko milega or isme potraite Color corection etc. ese bahot features milte hai to iPhone ke camera bahot hi achaa hota hai.


To dosto ye the kuch fayde Apple device lene ke apko apples device ke andar or bhi bahot sare achhe ache function and applications milega .

Dosto apne avi iPhone lene ke faydo ke bare me to apko pata chal hi gaya Hoga bahot sare faydo ke bare main. ab apko hum iPhone ke nuksan ke bare me batayege to aage post ko jaroor pdhiye.


iPhone lene ke nuksan kya hai?

Dosto iPhone lene ke bahot sare nuksan bhi jisme bare me ab hum baat karenge .

1)iPhone lene ka first nuksan ye hai ki dosto apko iske andar Battry bahot jaldi khatam ho jayega jaise Android device Battry jyada chalta hai lekin isme apko battry jaldi khatam ho jayega ye main probm apko jyada rahega.


2)android ke mukable iPhone ka price bahot jyada high rahega to apko isme jyada paisa invest karna padega.

iPhone ke price jyada rehte hai kyuki isme bahot aches performance wale software lage rehte hai is liye Android apko saste me mil jayega lekin iPhone nahi milega.


3)iPhone ka third nuksan ye hai ki aap isme koi bhi Android application ko dowenload nahi kar sakte .

Aap jaise ki Android mobile me play store se koi bhi application dowenload karte hai vese app iPhone me dowenload nahi kar paoge .


iPhone lena chahiye? Ya nahi?

Dosto aap sabko ab batate hai ki iPhone lena chahaiye ya nahi  to dosto sabse pehle aap ye soch le ki iPhone aap kyu le rahe ho because aap ise personal use or entertainment ke liye le rahe ho to aapke liye bahot achaa hai .

Lekin agar aap ise koi bhi kam ya business ke liye le rahe ho to apko isme probm ho sakti hai jaise ki isme memory ya sd card supprt nahi krta , isme SIM card hi 1 lagta hai etc. ese bahot sare ressions hai jiske vajah se isme aapka kaam nahi ho payega.

Agar aap ise personal use or entertainment ya gaming ke liye le rahe hai to apple ke devices apko bahot kaam ayenge.


To dosto aasha karte hai apko humari post pasand aayi hogi agar apko humari post pasand ayi ho to ise share jaroor kar dena or humare website pe visit karte rehna hum apke liye ese hi interesting topics ke uper posts late rahege .

Thank You…
Photo Ki Qulity Kaise Badhaye?

Photo Ki Qulity Kaise Badhaye?

 Photo Ki Qulity Kaise Badhaye?

Dosto aap sabka Swagat hai humare is Website TheSattuNet Me or ajj hum apko batane wale hai ki kisi bhi photo ya image ki qulity kaise badhaye ? To dosto app is post ko pura padhe jis se apko pata chalega ki koi bhi editor kisi bhi blur image ya low qulity wale image ko kaise thik karta hai.




Dosto aap sabke sath bhi ye probm hota hoga ki photo click karte vakt Apka hand hill jane ki wajah kabhi kabhi photo blur ata hai to to aap use kaise thik kare or kisi bhi photo ya image ki qulity ko kaise high kare? Ye sab bat aaj hum apko is post me batane wale hai to aap is post ko pura end tak padhe jis se apko photo editing me blur ya low qulity image ko kaise sudhare iske bare main aap jaan paao.


Blur Image Ko Kaise Sudhare ?

Dosto blur image ko sudhar ne ke liye bahot sare tools hai jaise ki Photoshop etc. par apke pass computer ya laptop nahi hai or mobile se hi aap blur image ko sudharna chaahte ho to aapko ek application ki madad leni padegi vo application ka naam hum apko age batayege isi post me.

Dosto ye jo application ke bare hun apko batane wale yah application android users or iOS users dono ke liye available hai.

Yah application paid application hai lekin isme apko blur photo thik karne wala option bilkul free hai to aap asani se bilkul free me blur image ko thik kar sakte hai.

Dosto hum jis application ke bare me baat kar rahe hai us application ka naam hai Remini  is application ko asani se play store ya App Store se dowenlod kar sakte hai.

Remini app Kya hai ?

Dosto remini app ek editing application hai jo professional editors apne photos ya images inhance karne ke liye use karte hai. 

Remini app ke andar aapko bahot sare features dekhne ko milte jaise ki aap isme blur photo ko Inhance krke thik kar sakte ho , blur  video ko inhance kar sakte ho lekin ha dosto is application ke andar apko sirf photo hi free me inhance kar sakte hai kyuki blur video ko inhance karne ke liye apko Remini application ka premium subscription lena padega .

Remini app ko Use Kaise kare?

Dosto remini application ko use karna bahot hi Aasan hai .aap asaani se remini app anadar apne blur ya low qulity wale photo daal ke inhance kreke usko sudhar ke high qulity me convert kar sakte hai bilkul free main.

Remini app me photo ko inhance kaise karna ye hum apko step to step batate hai taaki aap achhe jaan pao.

1)Remini app me apko blur ya low qulity wale photo ko sudharane ke liye sabse pehle apko remini application ko dowenload karna padega jo apko asani se play store ya App Store me mil jayega aap aasani search karke dowenload kar sakte hai. Remini app ka size 200mb hai or yah application trusted hai to apke data leak hone ka bhi koi dar nahi rahega to aap bilkul nishchit rahe or remini app ko dowenload kar dijiye.

2)remini app ko dowenload karne ke baad apko sabse pehle application me login ya sign up karna padega yaani ki apko pehle account create karna padega aap email ke threw yaa fir Facebook ke threw direct bhi account bana sakte hai vo easy rahega. Or aap apne mobile number se bhi sab details fill karke account bana sakte hai lekin apko Facebook yaa email se hi account create karna hai.

3)account create krne ke baad apko remini application ke anadar apko vo photo ko add karna he jo blur ya jiski qulity low ho or aap use sudharna chahte ho. Fir apko usko photo ya image ko remini app me add karna hai.

4)remini app me photo ko Selct karne ke baad apko Kuch esa interface dekhne ko milega


Dosto aapko jo uper screen shot me dikhaya gaya he us tarah ka page apko apke mobile pe dekhne ko milega .

Agar apne remini app ka premium subscription liya hai to aapko enhance + par click karna hai or agar apne remium premium subscription nahi liya hai to apko sirf black Color ke inhance wale first button pe click karna hai.

Enhance butoon pe click krne ke baad apko ek 30sec ka aad ayega usko chalne dena hai or 30 second khatam hone ke baad us add ke andar uper kone me cancel ka option Hoga waha pe click karna hai. Or add ko close kar dena hai.

Add ko close krne ke baad app direct photo ko inhance karne wale page par pohch jaoge.

5)remini app me aad ko close karne ke baad inhance wale page me apko vo photo dikhegi jisko apne pehle add kiya hoga or uske sath me hi apko waha pe us photo ke site me ek line dekhne ko milegi us line ko apko left ki taraf swipe karna hai jaise jaise aap us line ko swipe karoge vese hi apka blur photo thik hone lagega jitna aap line ko swipe karoge itna hi photo ka clearity Achha hone lagega . To apko us line ko pura swipe kr lena hai . Or fir apko vo blur image ki clearity acchi dikhane lagegi or apka blur image thik lagega.

Agar apke image ya photo ki qulity sahi nahi hai or aap use sudharna chaahte ho to bhi apko us photo y image ko ese hi swipe karke inhance karna hai jis se apka jo low qulity ka photo hai sudhar jayega.

6)photo ko inhance karne ke baad apko niche saved to gallary ka option dikhega vaha pe click krke apko us photo ya image ko high qulity me save kar lena hai .Or fir apne mobile phone ki gallary ko open karke us photo ko khol ke usme zoom karke chek karna he apka photo sahi ho gya Hoga.

To dosto Aasha karte hai ki apko humari post pasand aayi ho or apke liye helpful rahi ho to aap use share jaroor kar dijiye share karna na bhule .

Note :-yah post sirf apko image ki qulity kaise sudharne ye batane ke liye kiya gaya hai is post me is application ka koi promotion nahi hai.


Thank You….
iPhone Main YouTube Videos Kaise Dowenload Kare?

iPhone Main YouTube Videos Kaise Dowenload Kare?

 iPhone Main YouTube Videos Kaise Dowenload Kare?



Hello dosto aap sabka swagat he humare is website TheSattuNet main or aaj me apko batane wala Hu ki iPhone me koi bhi YouTube videos kaise aap apne iPhone me dowenload kar sakte hai.

Dosto jese ki aapko pata hoga ki aap Apne Apple device me  android mobile ki tarah koi bhi YouTube video vidmate ya koi other  application se dowenload karte the vese aap apne Apple device me nahi kar sakte kyu ki Apple company android applications ko supprt nahi karta hai to  apko apne Apple iPhone me Koi bhi YouTube videos dowenload karne ke lie kya karna hoga ye janne ke lie post ko  pura padhe me apko Avi  batane ja rha hu ki aap aapne  aaple device me koi bhi YouTube videos kaise dowenload kare

iOS me Yt Video Dowenload Kaise Kare?

Dosto to agar aap apne youtube me se koi bhi video dowenload karna chahte ho apne Apple device me to aap use direct dowenload nahi kar sakte uske liye apko ek application dowenload karna padega jo apko asani apko aapke koi bhi iPhone device me mil jayega.

To dosto apko is application ko dowenload karne ke lie sabse Pehle apko apne apple iPhone APP Store kholna padega or waha pe search bar ko open karke waha pe apko is application ka naam search karna rahega .

Aap jo apne Apple device ke App Store me jo application ka naam apko search karna he. Us application ka naam hai BlackholeSpliter . 

Dosto sabse pehle apko is application ko dowenload karna rahega jo apkko apne Apple iPhone ke App Store me mil jayega agar apko is application ko dhundhne  problm ho rha he ya nahhii mil rha to apko is application ka direct dowenlodd link. apko aage is post me de dege aap waha se bhi doweanload kar sakte ho agar apkko dhundhane me koi problm ho rhha he to aap niche age isi post me link milega aap waha se. Doweanload kar sakte ho is application ka file size koi jyada bada nahi he is application ka size sirf 16MB hai.

Sabse pehle agarr apne is application ko download nahi kiyya hai to pehle dowenload kar lo or. Agar dowenload kar liya hai to aapko hum batate hee ki is application ko use kaise karna he YouTube ke videos dowenload kaise karne hai.

Lekin ise pehle aap is application ke bare me thoda orr jankari dekh lo jo apko niche mil jayegi.


Blackhole Application Kya Hai?

Dosto blackhhole splitter ek. Video dowenload ung application hai jisse apne Apple iPhone me koi bhii Youtube ka video ya movies bilkul free mani dowenload kar sakte ho Iske lie apko koi paisa vagera Pay nahi karna rehega ye application bilkul  free hai.

Ye BlackHole Application ko ek BlackHoleSpliter naam ki company ne banaya hai. 

Is application ki ek khas baat ye he ki aap is application me sirf youtube ke videos hi nahi bal ki Instagram ,facebook ke videos or reels bhi dowenload kar skte ho bas appko apne Instagraam , Facebook ya YouTube se jo bhi video aapne apple ke iPhone main dowenload karna chahte ho us video ka link apkko apko is blackhole application me paste karna rahega or aap asaani se video dowenload kar skate ho.

To chalo dosto ab hum appko batate he ki Blackhole application ki madad se hum koi bhi video dowenload kaise kare.

Blackhole application ko use kaise kare?

Dosto to ab hum apko batate he ke blackhole application ki madad se koi bhi youtube video ,facebook ya instagram ki reels or story’s kaise dowenload kare or use apne Apple iPhone ki gallery me save kaise kare.

1) first apko agar YouTube ka video ,Facebook ki reels yaa story ya video ya fir Instagram ki photos , videos ,story ,igtv videos ya fir reels dowenload karni he to apko sabse pehle uska link copy karna padega.


2)second apko aapne jo apne Apple iPhone me blackhole application install kiya he use open karna padega.

Yaha pe uper jo apko photo me dikh rha he is tarike se apko blackhole spilter application apko apne Apple iPhone me dikhega to apko Home Screen load hone tak wait karna padega bluehole application puri tarah se load hone ke baad apko kuch esa hi interface dikhega jo uper apko image me dikha raha hai.

3) third apko blue hole application me jo circle dikh rha he round me uske uper us link ko paste karna he apne apne youtube , Facebook ya Instagram se copy kiya he dowenload karne ke lie us link ko apko is blackhole application me jo circle dikh rha he round round uske uper click karna padega sirf ek hi bar is cercle pe click karna link automatically paste ho jayega.


Apne jo link paste ki he uske bad apko kuch esa interface dekhne ko milega jo uper image me dikhaya gaya he.


4)fir apne jo link ko blue hole application ke homepage me jo circle he usme paste kiya rahega uske baad add aeyga jese apko uper image me interface dikh rha he isi tarike se apko bhi ek add dikhne milega jo 30 second ka hoga or apko 30 second tak us add ko chalne dena he fir uper apko cancel ka option dikhega vaha pe click karna rahega.

Blue hole application me kabhi kabhi 15 second ka bhi add aa jata he to 15 second ka aad aye to apko 2 baar ads dikhega to apko 2 ads dekhne rahege application me 15 second ka add aye to apko 15 second tak wait karna he fir apko cancel karna he or 15 second ka hoga to fir se ek or add ayega uske andar bhi apko us add ko bhi 15 second tak dekhna he or fir uper cancel ka option Hoga vaha pe click karke add ko cancel karna rahega.


5)apne jo black hole application ads cancel karne ke baad apko apne jo bhi video dowenload karne ke lie link ko copy karke black hole application me dala hoga vo video dowenloading hona start ho jayega niche apko ek line dikhega apne black hole application ke homepage me kaha pe  apko dikhega ki video dowenload hona start ho Gaya hai.


6)video dowenload ho jane ke baad vo video automatically apke apple iPhone ki gallery me save ho jayega aap apne iPhone ki gallary open karke check bhi kar sakte hai .


7) Apka video gallery me save hogya agar video dowenlod hone ke baad bhi save nahi huva he to apko kya karna padega  vo hum batate he jyadatar video automatically save ho jata he lekin  kabhi kabhi koi error ke vajah se save nahi hota to apko black hole application ke home page me hi niche ek video ka option Hoga  vaha pe click karna rahega vaha uper kuch chhote chhote circle dikhega apko vaha pe click karna rahega.

8) black hole application ke videos wale option pe click karne ke baad apko kuch esa interface dikhega.


Uper jo image me dikhaya gaya he esa interface ane ke baad apko vo sab videos dikhega jisko apne dowenload kiya hoga.
Fir apko jo bhi video aap save karna chahte apke iPhone ki gallary me us video ke site me apko 4 chhote chote circle dekhega jaise uper image me dikh rha he usi tarah se bas apko un chote chote circle hena vaha pe click karna he or apne video ko gallary me save kar lena he.

Video save karne ke baad aapne iPhone ki gallary me jake usko chek kar sakte ho apko vo video apne iPhone ki gallary me dikh jayega 100% 


BlackHole Application ko dowenload kaise kare?

Black hole application ko aap apne iPhone ke App Store se dowenload kar skte ho agar apko black hole application nahi mil rha he to aap niche diye gaye dowenload ke option pe click karke sidha apko vo black hole application ke dowenloading page pe le jayega vaha se aap black hole application install kr sakte ho.


BlackHole Application Dowenload karne ke lie niche dowenload wale button pe click kare.

Download 

To dosto aapko agar humari ye post pasand ayi ho to share jaroor kar dena hum apke liye ese hi helpful posts laate rahege.

Note :- ye post koi promoting ya is app ko promote karne ke liye hum ne ye post nahi dala he ye aap bilkul free he or humne ye post aapki help karne ke karan se dala he koi promoting nahi he ye application ka to aap bilkul nishtchit rahe.

Thank You…